Klama Kya Hai
Kalma Islam mein ek buniyadi aqeeda hai jo ek musalman ke imaan ki asal pehchaan hai. Kalma tayyabah kehte hain: “La ilaha illallah, Muhammadur Rasoolullah,” jiska matlab hai “Allah ke siwa koi ma’bood nahi, aur Muhammad  Allah ke Rasool hain.” Ye kalma ek musalman ke liye sabse ahem aqeeda hai, jo Allah ki wahdaniyat aur Rasool  ki risalat ko tasleem karta hai. Islam mein kalma par imaan lana imaan ka pehla rukn hai. Isko dil se maanna aur zubaan se izhar karna ek musalman ki zindagi ka asal maqsad hai.
Kalma Radd-e-Kufr Kya Hai?
Kalma Radd-e-Kufr 6th kalma hai. Radd-e-Kufr ka matlab hota hai kufr ko rad kar dena alfaz se. Ye kalma Islam mein kufr ki ahmiyat ko samjhata hai. Yeh khud mein ek lambi bahas hai, lekin aam tor par iska matlab hai deen se haá¹hna, yani gair momin hona.
Kalma Radd-e-Kufr Ka Maqsad
Radd-e-Kufr ka matlab ye hai ki kufr lafz ka matlab hota hai chhupana ya inkar karna. Isliye kafir wo hai jo haqq ko manne se inkar kare aur chhupaye. Aur haqq ye hai ki tauheed, yani Allah ek hai aur Rasool Allah  unke Nabi hai.
Kalma Radd-e-Kufr Ka Lafz Lafz Ka Matlab
Allahumma Inni A’udhu-bika Min An Ushrika Bika Shay’an Wa-ana A’lamu Bihee Wa-astaghfiruka Limaa Laaa A’lamu Bihee Tubtu ‘Anhu Wata-barra’tu Mina-l Kufri Wash-shirki Wal-kidhbi Wal-gheebati Wal-bid’ati Wan-nameemati Wal-fawahishi Wal-buhtaani Wal-ma’aasi Kulliha Wa-Aslamtu Wa-aqoolu Laaa Ilaaha Illa-llaahu Muhammadur Rasulullah.”
Tarjuma
Aye Allah! Main Teri panah maangta hoon is baat se ke main jaan bujh kar kisi ko Tera shareek banao, aur main bakhshish maangta hoon un gunaahon ke liye jinhe main nahi jaanta. Main ne in sab se toba ki aur kufr, shirk, jhoot, gheebat, bid’at, chugli, behayaiyon, bohtan aur tamaam gunaahon se bezaar hua. Aur main Islam ko qabool karta hoon aur kehta hoon ke Allah ke siwa koi ma’bood nahi aur Muhammad  Allah ke Rasool hain.”
Kalma Radd-e-Kufr Ki Hadees
Kisi ko kufr ka ilzam dena ek sangin ilzam hai. Rasool Allah  ne irshad farmaya ke jab koi shakhs apne kisi bhai ko kehta hai ke ai kafir, to un dono me se ek kafir ho gaya. Aur Ikrimah bin Ammar ne Yehya se bayan kiya ke usne Abdullah bin Yazid ne kaha, unhone Abu Salman se suna aur unhone Abu Huraira (رضي الله عنه) se suna, unhone kaha ke Nabi Kareem  ne farmaya:
Hazrat Abdullah (رضي الله عنه) se naql hui hai ke Rasoolullah  ne farmaya: “Musalman ko gaali dena fisq hai aur usse ladai karna kufr hai.”
Jab ayat “Alladhina aamanu wa lam yalbisu imanahum bizulmin” (jo log iman laaye aur apne iman mein zulm (shirk) ki milawat na ki) (Al-An’am: 82) nazil hui, to Musalmanon par yeh baat giran guzri. Logon ne kaha: “Allah ke Rasool! Hum mein kaun aisa hai jis se apni zaat ke haq mein zulm aur ziyadti na hui ho?” Aap  ne farmaya: “(Tum ghalat samjhe) aisi baat nahi hai. Is zulm se murad sirf shirk hai. Kya tum logon ne suna nahi ke Luqman (عليه السلام) ne apne bete ko kya naseehat ki thi? Unhone kaha tha: “Ya bunayya la tushrik billah; inna shirk lazulmun azeem” (Ai mere bete! Shirk na kar, shirk bohot bara gunah hai).” (Luqman: 13)
Yahan se hum dekhte hain ke kufr ki sangini kya hai. Yehi imaan ke bilkul bar’aks hai, jo ke ek momin musalman ke liye zaroori hai.
Conclusion
Kalma Radd-e-Kufr Islam mein ek ahem kalma hai, jo kufr aur shirk se inkaar aur Allah ki wahdaniyat ko qabool karne ka izhaar karta hai. Iska maqsad ek momin ko yeh yaad dilana hai ke uska imaan sirf Allah ki tauheed aur Rasool Allah  ki risalat par mazboot hona chahiye. Yeh kalma musalmanon ko shirk, jhoot, gheebat, bid’at aur tamam bure aamaal se door rehne ki taleem deta hai. Kalma Radd-e-Kufr se yeh sabit hota hai ke kufr aur shirk se poora inkaar karte hue, ek sachcha musalman sirf Allah ki ibaadat aur uske Rasool  ki itaat kare. Islamic Jankari ka maqsad aise ahem mawazoo’at ka ilm phelana hai.